Manzil yu hi nahi milti raahi ko,
Junoon sa dil me jagaana padta hai,
Pucha chidiya se ki ghosla kese bandta hai,
Vo boli ki tinka tinka uthana padta hai.
Gujri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
Taqdeer me jo likha hai uski fariyad na kar,
Jo hoga vo hokar rahega,
Tu kal ki fikar me apni aaj ki hasi barbaad na kar.
Jal ko barf me badalne me waqt lagta hai,
Suraj ko nikalne me waqt lagta hai,
Kismat ko toh hum badal nahi sakte,
Lekin apne hauslo se kismet badalne me waqt lagta hai.
Bina sangharsh koi mahan nahi hota,
Bina kuch kiye jay-jaykaar nahi hota,
Jab tak nahi padti hathode ki chot,
Tab tak koi padthar bhi logo ke liye bhagwan nahi hota.
Mushkilo me bhaag jaana aasan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihaan hota hai,
Darne walo ko milta nahi kuch zindagi me
Ladne walo ke kadmo me jahaan hota hai.
Ro kar muskurane ka maza hi kuch aur hai,
Zindagi me kuch kho kar paane ka maza hi kuch aur hai,
Zindagi me haar aur jeet toh lagi hi rehti hai,
Lekin haar ke jeetne ka maza hi kuch aur aata hai.
Zindagi bas ek haseen khwaab hai,
Dil me jeene ki chahat honi chahiye,
Gam khud hi Khushi me badal jaayenge,
Sirf muskurane ki aadat honi chahiye.